Imam Azam

jo maze aaj tere gham ke azabon mein mile

Imam Azam

Darbhanga, Bihar, India

1960
jo maze aaj tire ġham ke azāboñ meñ mile
aisī lazzat kahāñ saaqī kī sharāboñ meñ mile
saarī duniyā se nahīñ un ko hai parda lekin
vo mile jab bhī mile mujh ko naqāboñ meñ mile
terī ḳhushbū se mo.attar hai zamāna saarā
kaise mumkin hai vo ḳhushbū bhī gulāboñ meñ mile
zindagānī meñ nasīhat nahīñ kaam aatī hai
dars-e-aḳhlāq faqat mujh ko kitāboñ meñ mile
maiñ ne phūloñ se bhī nāzuk se savālāt kiye
mujh ko patthar se hī alfāz javāboñ meñ mile
pyaar ke baab meñ ab naam kahāñ hai terā
koī tahrīr-e-vafā kaise nisāboñ meñ mile
kyā pata kal jo baḌī shaan meñ gum thā 'āzam'
ab vahī shaḳhs tujhe ḳhāna-ḳharāboñ meñ mile
Top Urdushayar.com