gesū o ruḳhsār kī bāteñ kareñ
aao mil kar pyaar kī bāteñ kareñ
bevafā.ī jis kā hai tarz-e-amal
bas usī dildār kī bāteñ kareñ
āj-kal paidal safar dushvār hai
ḳhūbsūrat car kī bāteñ kareñ
le ke nikleñ ik mobile haath meñ
ab to bas be-tār kī bāteñ kareñ
jab samajh meñ kuchh na aa.e aap ko
baiTh kar be-kār kī bāteñ kareñ
baat kāñToñ kī tarah jis kī chubhe
kyuuñ usī gulnār kī bāteñ kareñ
sulh par jab donoñ āmāda hue
phir ye kyuuñ talvār kī bāteñ kareñ
jo yahāñ da.avā baḌe va.ade kare
bas usī sarkār kī bāteñ kareñ
kyuuñ ho 'āzam' ek mahbūba kī baat
aur bhī do-chār kī bāteñ kareñ