shahar meñ ole paḌe haiñ sar salāmat hai kahāñ
is qadar hai tez āñdhī ghar salāmat hai kahāñ
raat ne aisī siyāhī ab bikherī chār-sū
aañkh vāloñ ke liye manzar salāmat hai kahāñ
aap kahte haiñ chhupā luuñ apnī uryānī magar
jism se lipTī huī chādar salāmat hai kahāñ
qulqul-e-mīnā se apnī pyaas to bujhtī nahīñ
chuur sab shīshe hue sāġhar salāmat hai kahāñ
reza reza ho ga.ī har shaḳhs kī pākīzgī
sañg-sārī ke liye patthar salāmat hai kahāñ
koī chehra asl sūrat meñ rahe baaqī to kyuuñ
but-shikan ke ahd meñ aazar salāmat hai kahāñ
har taraf ik jañg kā māhaul hai 'āzam' yahāñ
aadmī ab ghar ke bhī andar salāmat hai kahāñ