tumhāre jaate hī har chashm-e-tar ko dekhte haiñ
hai āñsuoñ kā samundar jidhar ko dekhte haiñ
'farāz' ho ga.e ruḳhsat jahān-e-fānī se
udaas udaas suḳhan ke safar ko dekhte haiñ
kahāñ vo ishq-e-javāñ kī Thahar ga.iiñ kirneñ
rukī rukī huī bād-e-sahar ko dekhte haiñ
sunā hai 'faiz' se aage nikal ga.e the 'farāz'
ġhazal ke soz-e-darūñ ke asar ko dekhte haiñ
sunā hai us ne ġhazal kā badal diyā lahja
sabhī 'farāz' ke fikr-o-nazar ko dekhte haiñ
sunā hai us kī ġhazal aa.ina thī hastī kā
isī liye to ham us ā.īna-gar ko dekhte haiñ
sajāyā us ne hunar se jo apnī ġhazloñ ko
sunā hai log ab us ke hunar ko dekhte haiñ
kahāñ 'farāz' kahāñ 'āzam'-e-shikasta-jāñ
zarā sā chal ke ham us kī Dagar ko dekhte haiñ