TimTimātā huā mandir kā diyā ho jaise
terī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb chhupā ho jaise
pher liiñ tum ne nigāheñ to ye mahsūs huā
mujh se rūThī huī tāsīr-e-duā ho jaise
gūñjtī hai mire kānoñ meñ yuuñ āvāz tirī
koh o sahrā meñ azānoñ kī sadā ho jaise
apnī nazreñ na jhukānā ki gumāñ hotā hai
sāmne sar pe khaḌī merī qazā ho jaise
un ke ruḳhsat kā vo lamha mujhe yuuñ lagtā hai
vaqt nārāz huā din bhī Dhalā ho jaise
paas hote ho to mahsūs yahī hotā hai
umr bhar kī ye riyāzat kā sila ho jaise
bhiiḌ aisī hai kise sajda karūñ ai 'āzam'
aaj ke daur meñ har shaḳhs ḳhudā ho jaise