mausam sūkhā sūkhā sā thā lekin ye kyā baat huī
keval us ke kamre meñ hī raat ga.e barsāt huī
maiñ ne samjhā, us ne samjhā, bhiiḌ meñ bhī ḳhāmoshī thī
dekhne vaale kuchh bhī na samjhe lekin phir bhī baat huī
bin māñge mil jaa.e motī to is ko taqdīr kaho
dāman phailā kar duniyā mil jaa.e to ḳhairāt huī
sankaT ke din the to saa.e bhī mujh se katrāte the
sukh ke din aa.e to dekho duniyā mere saat huī
jīvan ke is khel meñ apnā gyaan bhī dhokā detā hai
ulTe saare daav hamāre shah bhī dī to maat huī
jaate jaate tanhā.ī kā ġham dene vo aa.e the
tum hī bolo kyā ye un kī ulfat kī sauġhāt huī
'āzam' bhūlnā chāhe bhī to ab tak bhuul na paa.e vo
un kī yādoñ se vābasta aise merī zaat huī