gard-o-ġhubār dhuup ke āñchal pe chhā ga.e
aur ghan-garaj ke shor bhī bādal pe chhā ga.e
ab to koī kañval nahīñ khiltā hai jhiil meñ
ab kāñTe-dār barg hī jal-thal pe chhā ga.e
vo so nahīñ sakegā kisī pal sukūn se
jab vasvase bhī āñkhoñ ke kājal pe chhā ga.e
bijlī sitāre chāñd shafaq aur dhuup chhāñv
kaise zamīñ ke barhana jañgal pe chhā ga.e
'āzam' ise vo kahte haiñ rañgoñ kā ek fan
jab daaġh dhabbe farsh ke maḳhmal pe chhā ga.e