vo hue aise mehrbāñ mujh par
baar hone lagā jahāñ mujh par
kitnī shaffāf zindagānī thī
ab to chhāne lagā dhuāñ mujh par
us ne aa kar na kuchh safā.ī dī
qisse hote rahe bayāñ mujh par
gul ke mānind ye sarāpā thā
jaane kab aa ga.ī ḳhizāñ mujh par
mere dam se chaman meñ rañgat thī
rashk kartī thiiñ titliyāñ mujh par
maiñ jahāñ se chalī bhī jā.ūñ to
kyā karegā koī fuġhāñ mujh par
jab bhī us ne sunī na baat mirī
kitnī bāteñ huiiñ ayaañ mujh par
ab to 'nik.hat' nahīñ hai phūloñ meñ
phir bhī uThtī haiñ uñgliyāñ mujh par