koī to baat hogī tumhārī nigāh meñ
dil jo na rah sakā thā hamārī panāh meñ
tum se to yuuñ huā nahīñ sarzad koī qusūr
hogī koī kamī hī hamārī nibāh meñ
ham kyuuñ kareñ tumhārī vafā se koī gila
jab ḳhud hī kho ga.e the zamāne kī chaah meñ
tum ne diyā thā saath magar ham na chal sake
ham ko najāt kab milī kāñToñ se raah meñ
dariyā se pyaas bujh na sakegī ye soch kar
lahrā ke chal paḌe the samundar kī chaah meñ