mohabbateñ to milīñ go vafā milī na milī
safar hasīn thā manzil kā kyā milī na milī
na dostoñ se tavaqqo na dushmanoñ se gurez
ye dil thā gor-e-ġharībāñ sham.a jalī na jalī
ajab sā habs hai insāniyat ke zehnoñ meñ
kise ho fikr ki bād-e-sabā chalī na chalī
tire visāl ke lamhoñ ko munjamid kar luuñ
shab-e-firāq kā kyā hai Dhalī Dhalī na Dhalī
hamārā ishq bhī had se guzarnā chāhtā hai
ki dil ho mahv-e-takallum nazar milī na milī
nahīñ hai fikr koī bāġhbān ko 'nik.hat'
bahār aa.ī na aa.ī kalī khilī na khilī