behāl dil kā haal karūñ to ġhazal kahūñ
jiine kā phir malāl karūñ to ġhazal kahūñ
dil to misāl-e-sañg hai TūTegā kyā bhalā
ḳhasta-jigar kā haal karūñ to ġhazal kahūñ
ye rañg chaar roza hai ra.anā.ī chaar roz
jo husn lā-zavāl karūñ to ġhazal kahūñ
hai lutf is miyāna-ravī meñ bhalā kahāñ
kuchh amr bā-kamāl karūñ to ġhazal kahūñ
mausam na sard garm na tūfāñ kā zor hai
ab ḳhud hī kuchh vabāl karūñ to ġhazal kahūñ
muddat huī habīb se shikva kiye hue
ab us se kuchh savāl karūñ to ġhazal kahūñ
haiñ is jahāñ meñ achchhe suḳhnavar hazār-hā
'nik.hat' ko be-misāl karūñ to ġhazal kahūñ