Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

na ki jafaon mein usne koi kasar phir bhi

Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

Azamgarh, Uttar pradesh, India

na kī jafāoñ meñ us ne koī kasar phir bhī
lage hue the umīdoñ ko merī par phir bhī
tumhārī yaad se vābasta hai hayāt mirī
kisī kā yuuñ to huā kaun umr bhar phir bhī
tum apne gird fasīleñ banā ke baiThe ho
huā to hogā mirī yaad kā guzar phir bhī
charāġh āñkhoñ ke vīrān hote jaate haiñ
tumhārī raah se uThtī nahīñ nazar phir bhī
tamām ruup liye chāñdnī chalī aa.ī
hamārā dil rahā tārīk ek ghar phir bhī
na raushnī hai koī aur na rāste ma.alūm
chale haiñ aaj tire saath be-ḳhatar phir bhī
tamām umr diyā maiñ ne apnā ḳhūn-e-jigar
milā na mujh ko koī sāya-e-shajar phir bhī
bahut thī chaah dil-e-nā-tavāñ ruk jaa.e
tavīl hotā gayā umr kā safar phir bhī
Top Urdushayar.com