āñkhoñ āñkhoñ meñ baat hone lagī
ḳhālī nīñdoñ se raat hone lagī
us kī nazroñ meñ nashsha thā aisā
bartaraf kā.enāt hone lagī
har taraf zehn-o-dil ke goshe meñ
haañ aur na kī bisāt hone lagī
jab kabhī mil ga.e vo qismat se
phir zamāne kī baat hone galī
aur bichhḌe to kuchh talab aisī
reza reza ye zaat hone lagī
na kabhī hāl-e-dil kahā ab to
zindagānī kī raat hone lagī