kaise har dard ko siine meñ chhupā.e rakkheñ
aur hoñToñ pe tabassum ko sajā.e rakkheñ
jo the apne vo zamāna huā sab chhoḌ ga.e
kab talak bazm ko ġhairoñ se sajā.e rakkheñ
ye sunā hai ki vahāñ der hai andher nahīñ
to chalo bahr-e-duā haath uThā.e rakkheñ
jab ye chhaT jā.eñge bādal to kiran phūTegī
sham.a ummīd kī ik ham bhī jalā.e rakkheñ
yuuñ to bhūle se bhī ab yaañ na koī aa.egā
ehtiyātan hī magar ghar ko sajā.e rakkheñ
dil meñ soī huī chiñgārī ne karvaT lī hai
ab to is aag se dāman ko bachā.e rakkheñ
hogā 'nik.hat' se mo.attar ye chaman bhī ik roz
bas tirī yaad ke paudoñ ko lagā.e rakkheñ