Hasan Azimabadi

fikr-e-manzil hai na nam-e-rahnuma lete hain hum

Hasan Azimabadi

fikr-e-manzil hai na nām-e-rahnumā lete haiñ ham
apnā zauq-e-rah-ravī ḳhud aazmā lete haiñ ham
kasrat-e-ġham meñ bhī akasr muskurā lete haiñ ham
zulmat-e-hastī meñ yuuñ sham.eñ jalā lete haiñ ham
kuchh na pūchho himmatoñ se kaam kyā lete haiñ ham
ġham ko baada dil ko paimāna banā lete haiñ ham
muntashir hone ko aatī hai jo bazm-e-ārzū
hausloñ kī phir na.ī mahfil sajā lete haiñ ham
qāfila aa kar sar-e-manzil bhī ho jaatā hai gum
rāhzan ko jab kabhī rahbar banā lete haiñ ham
zulm-e-daurāñ ko atā karnā hai taaza hausla
tiir jo aatā hai siine se lagā lete haiñ ham
kyuuñ mizāj-e-husn meñ paidā kareñ ik barhamī
apne dil ko apnā afsāna sunā lete haiñ ham
is qadar charke lage haiñ dahr meñ ai ham-nashīñ
ḳhaar kyā phūloñ se bhī dāman bachā lete haiñ ham
multafit hotā nahīñ jab sāqī-e-daurāñ 'hasan'
mai-kade meñ baḌh ke ḳhud sāġhar uThā lete haiñ ham
Top Urdushayar.com