maiñ dhund-fazāoñ meñ uḌā bhī huuñ girā bhī
thī quvvat-e-parvāz bhī aur ḳhauf-e-qazā bhī
maiñ apne hī zindān-e-tilismī kā zubūñ thā
har-chand tirī sho.abada-kārī se bachā bhī
laa.ī hai kahāñ mujh ko tabī.at kī do-rañgī
duniyā kā talabgār bhī duniyā se ḳhafā bhī
pā-basta-e-zanjīr-e-havā chhūT ga.e haiñ
mauqūf huā silsila-e-qatl-e-navā bhī
ḳhvābīda lahū bāzū-e-parvāz meñ jaagā
raushan huī dhundlā.ī huī zard fazā bhī
āñkheñ haiñ magar ḳhvāb se mahrūm haiñ 'mid.hat'
tasvīr kā rishta nahīñ rañgoñ se zarā bhī