vahāñ kartā rahūñgā ab yahāñ kartā rahūñgā
rahūñgā maiñ jahāñ be-tābiyāñ kartā rahūñgā
kabhī maiñ āsmānoñ ko zamīñ par laad dūñgā
kabhī apnī zamīñ ko āsmāñ kartā rahūñgā
milī hai zindagī mujh ko to kuchh karnā hī hogā
yaqīñ kartā rahūñgā yā gumāñ kartā rahūñgā
milegā mulk-e-ḳhūbī yā matā-e-sargirānī
maiñ apne naam kā sikka ravāñ kartā rahūñgā
sunā.ūñgā kabhī qisse purāne ma.arakoñ ke
kabhī tasnīf tāzoñ dāstāñ kartā rahūñgā
karūñgā kuchh jatan un ko misālī bhī banā.ūñ
agar ābād taaza bastiyāñ kartā rahūñgā
maiñ ḳhud sāhil pe baiThūñgā kinār-e-āfiyat meñ
ijāre par safīnoñ ko ravāñ kartā rahūñgā
hameñ ab niiñd meñ bhī jāgte rahnā paḌegā
ki us ne kah diyā hai imtihāñ kartā rahūñgā
agar likhvāoge ḳhat us ko tum mere qalam se
ye ḳhidmat muft meñ ai mehrbāñ kartā rahūñgā
rahe vo gosh-bar-āvāz yā so jaa.e 'mid.hat'
ye merā qissa-e-ġham hai bayāñ kartā rahūñgā