maiñ to apne aap ko pahchānñā hī chāhtā huuñ
jāntā jo kuchh nahīñ vo jānñā hī chāhtā huuñ
sau farishte le ke mere paas aa.eñ jo sahīfa
us ko apnī chhalniyoñ meñ chānñā hī chāhtā huuñ
saikaḌoñ sūraj khaḌe haiñ ā.īna dar dast lekin
sar pe zulmat kī ridā maiñ tānñā hī chāhtā huuñ
jo mire maujūd meñ hai aur lā-maujūd meñ
jaan saktā hī nahīñ aur jānñā hī chāhtā huuñ
maiñ jo dushman ke bulāve par nikal aayā huuñ 'mid.hat'
bar-sar-e-maidān meñ kuchh Thānñā hī chāhtā huuñ