Midhat-ul-Akhtar

dasht se main jo apne ghar aaya

Midhat-ul-Akhtar

Nagpur, Maharashtra, India

1945
dasht se maiñ jo apne ghar aayā
mere dil meñ ḳhudā utar aayā
jis kī qīmat na de sakā koī
mere hisse meñ vo guhar aayā
saarī duniyā hai raah par merī
jab se maiñ terī raah par aayā
kitne patthar haiñ sāmne lekin
but-garī kā kise hunar aayā
kis ne duniyā ko zindagī de dī
maut kā dil bhī aaj bhar aayā
phir dar-o-bām ho ga.e rañgīñ
phir lahū merā mauj par aayā
Top Urdushayar.com