Midhat-ul-Akhtar

kisi ka tha wo fusun jo kiya kiya maine

Midhat-ul-Akhtar

Nagpur, Maharashtra, India

1945
kisī kā thā vo fusūñ jo kiyā kiyā maiñ ne
vo hosh thā ki junūñ jo kiyā kiyā maiñ ne
jo ho chukā vahī kaafī hai dil dukhāne ko
ab aur kuchh na karūñ jo kiyā kiyā maiñ ne
mire vajūd meñ shāmil rahe haiñ kitne vajūd
to phir ye kaise kahūñ jo kiyā kiyā maiñ ne
har ik savāl pe kitnoñ ke naam nikleñge
koī javāb na duuñ jo kiyā kiyā maiñ ne
bahut aziim hai dushman karegā kaun yaqīn
kisī kā naam na luuñ jo kiyā kiyā maiñ ne
ḳhudā kā shukr na bandoñ kā shukriya vājib
isī fareb meñ huuñ jo kiyā kiyā maiñ ne
Top Urdushayar.com