Midhat-ul-Akhtar

shayad meri fariyaad sunai nahin deti

Midhat-ul-Akhtar

Nagpur, Maharashtra, India

1945
shāyad mirī fariyād sunā.ī nahīñ detī
qudarat jo mujhe hukm-e-rihā.ī nahīñ detī
thā pahle bahut shor nihāñ-ḳhāna-e-dil meñ
ab to koī siskī bhī sunā.ī nahīñ detī
ḳhvāboñ kī tijārat meñ yahī ek kamī hai
chaltī hai dukāñ ḳhuub kamā.ī nahīñ detī
har tār-e-nafas hai mut.harrik mutvātir
ruḳhsat hī mujhe naġhma-sarā.ī nahīñ detī
kyā dhund hai ashkoñ kī musallat dil o jaañ par
dekhī huī duniyā bhī dikhā.ī nahīñ detī
chalne ko to sab yaar kamar-basta khaḌe haiñ
jis raah pe chalnā hai sujhā.ī nahīñ detī
kāñToñ pe chalātī hai koī aur hī lazzat
vahshat kā sila ābla-pā.ī nahīñ detī
maiñ qaid-e-mahālāt se dam bhar meñ nikal jā.ūñ
hāsil kī havas mujh ko rihā.ī nahīñ detī
maiñ apnī hī miTTī se banā letā huuñ 'mid.hat'
vo chiiz jo auroñ kī ḳhudā.ī nahīñ detī
Top Urdushayar.com