Midhat-ul-Akhtar

na sud hai na ziyan hasil-e-wafa kya hai

Midhat-ul-Akhtar

Nagpur, Maharashtra, India

1945
na suud hai na ziyāñ hāsil-e-vafā kyā hai
vafā-parast na maiñ huuñ na vo burā kyā hai
koī kisī ko batātā nahīñ huā kyā hai
chalo unhīñ se ye pūchheñ ki mājrā kyā hai
vahī hai ruuh vahī jism kuchh nahīñ badlā
ḳhayāl meñ nahīñ aatā ki phir nayā kyā hai
maiñ apne aap se māyūs to nahīñ lekin
jo aks hī na dikhā.e vo ā.īna kyā hai
mirā vajūd sarāpā javāb hai kis kā
nahīñ savāl to phir ye savāl sā kyā hai
kise qubūl karūñ kis ko an-sunā kar duuñ
ye aatī jaatī sadāoñ kā silsila kyā hai
na ḳhud milegā na mujh ko kabhī bulā.egā
is aane jaane meñ vaise bhī ab rahā kyā hai
vo mere paas bhī hai mehrbāñ bhī hai mujh par
faqat ḳhayāl hai merā ḳhayāl kā kyā hai
Top Urdushayar.com