maiñ to saaya huuñ ghaTāoñ se utarne vaalā
hai koī pyaas ke sahrā se guzarne vaalā
tū samajhtā hai mujhe harf-e-mukarrar lekin
maiñ sahīfa huuñ tire dil pe utarne vaalā
tū mujhe apnī hī āvāz kā pāband na kar
maiñ to naġhma huuñ fazāoñ meñ bikharne vaalā
ai badalte hue mausam ke gurezāñ paikar
aks de jā koī āñkhoñ meñ Thaharne vaalā
maiñ huuñ dīvār pe likkhā huā kab se lekin
koī paḌhtā nahīñ raste se guzarne vaalā
jā rahā hai tire hoñToñ kī tamannā le kar
zindagī-bhar tirī āvāz pe marne vaalā