ab na vo shāḳh hai na patthar hai
kab se jañgal meñ koī be-ghar hai
koī saaya nazar nahīñ aatā
jab se āñkhoñ meñ ek paikar hai
haañ kabhī ghūmtī rahī hogī
ab zamīñ be-niyāz-e-mehvar hai
zahr piine koī nahīñ aatā
kitnā be-tāb ye samundar hai
ruuTh kar chal diye na.e raahī
sar jhukā.e khaḌā sanobar hai
muḌ ke dekho to sañg ho jaao
aur aage baḌho samundar hai
apnā shīsha liye kahāñ jā.ūñ
shahr kā shahr saarā patthar hai