Midhat-ul-Akhtar

maine jo kuchh kho diya ab isko pa sakta nahin

Midhat-ul-Akhtar

Nagpur, Maharashtra, India

1945
maiñ ne jo kuchh kho diyā ab is ko pā saktā nahīñ
dil se ye ehsās bhī lekin miTā saktā nahīñ
vo kanār-e-āb baiThe chāñd ugte dekhnā
jhiil kī tah se vo manzar ab ugā saktā nahīñ
sab dar-o-dīvār us ke lams ke maqrūz haiñ
apne ghar se us kī tasvīreñ miTā saktā nahīñ
mat milo is se tumhārī baat maiñ ne maan lī
us ke ġham meñ chaar aañsū bhī bahā saktā nahīñ
shahar-bhar meñ phuul kī chādar bichhānā hai mujhe
apne shahzādoñ ko kāñToñ par chalā saktā nahīñ
kuchh banānā chāhtā huuñ aur ban jaatā hai kuchh
maiñ ḳhud apne ghar ko naqshe se milā saktā nahīñ
Top Urdushayar.com