naqsh dil se na miTā zarra barābar us kā
sabt hai aaj bhī dīvār pe paikar us kā
maiñ ne sāhil se use Dūbte dekhā thā faqat
mujhe ġharqāb karegā yahī manzar us kā
aks bhī dīda-e-qātil meñ lahū ban ke rahā
qatl ho kar bhī jamā rañg barābar us kā
karb-e-tanhā.ī zarā ruuh se nikle to sahī
muntazir hai koī is dasht ke bāhar us kā
jā chukā vo to samundar kī tahoñ meñ 'mid.hat'
baiTh kar ret pe ab naam likhā kar us kā