ḳhāksārī kījiye yā shahryārī kījiye
ham ġharīboñ meñ kuchh apnā faiz jaarī kījiye
jin se kuchh hāsil nahīñ tābīr-ḳhvāhī ke sivā
aise ḳhvāboñ meñ basar kyuuñ raat saarī kījiye
jo hamārā haal hai us se alag un kā nahīñ
sākinān-e-shahr se kyā parda-dārī kījiye
aap jo kahte haiñ vo karte nahīñ mālūm hai
pyaar kar sakte nahīñ bāteñ to pyārī kījiye
aa.eñ bhī tashrīf le aa.eñ yahī dastūr hai
baiTh kar mere sirhāne ġham-gusārī kījiye
chuum kar ham chhoḌ deñge ye gumāñ sachchā nahīñ
aap apnī chaah kā patthar na bhārī kījiye
ham yuuñ hī mar jā.eñge kaafī hai ishāra aap kā
aañkh ko ḳhanjar na abrū ko kaTārī kījiye
kusht-gān-e-ḳhanjar taslīm kahlāte haiñ kyuuñ
kuchh taḌap dikhlā.iye kuchh be-qarārī kījiye
ham bure haiñ yā bhale mahsūs ḳhud ko bhī na ho
thoḌī apne aap se bhī hoshyārī kījiye
sarkashān-e-ishq phir āmāda-e-fariyād haiñ
phir koī farmān-e-qatl-e-ām jaarī kījiye