isī libās isī pairahan meñ rahnā hai
use faqat mire sher-o-suḳhan meñ rahnā hai
tamām umr tirā haath mere haath meñ ho
tamām umr isī ik jatan meñ rahnā hai
vo ahl-e-husn haiñ ham se judā hai bazm un kī
ham ahl-e-fan haiñ hameñ ahl-e-fan meñ rahnā hai
hai terā aur mirā saath chand lamhoñ kā
phir is ke ba.ad kise anjuman meñ rahnā hai
kise milī hai yahāñ rāh-e-shauq meñ manzil
musāfiroñ ko hamesha thakan meñ rahnā hai
hamārā dard bhī us ke badan meñ ho 'rizvān'
jab us kā dard hamāre badan meñ rahnā hai