aziiz itnā tirā rañg-o-bū lage hai mujhe
koī qarīb se guzre to tū lage hai mujhe
safar ḳhayāl kā maiñ kis tarah tamām karūñ
tirī har ek adā chār-sū lage hai mujhe
zarūr koī ajab shai hai tujh meñ poshīda
ki terā zikr bhī ab kū-ba-kū lage hai mujhe
maiñ āsmān kī jānib bhī dekhtā huuñ magar
jo merā chāñd hai vo ḳhūb-rū lage hai mujhe
maiñ apnī zaat meñ tujh ko talāsh kartā huuñ
bahut hī sahl tirī justujū lage hai mujhe
hai ye bhī ek fusūn-e-nigāh ai 'rizvān'
nahīñ vo paas magar rū-ba-rū lage hai mujhe