zabān pe nāla-o-fariyād ke sivā kyā hai
hamāre dil meñ tirī yaad ke sivā kyā hai
udhar to rañg hai mastī hai shādmānī hai
idhar bas ik dil-e-nāshād ke sivā kyā hai
jo dekhiye to udhar sau jahān haiñ ābād
idhar ik ālam-e-barbād ke sivā kyā hai
ḳhizāñ kī fikr na ab intizār-e-fasl-e-bahār
chaman meñ shikva-e-sayyād ke sivā kyā hai
hai ek zaat pe īmān aur yaqīñ markūz
sab aur kufr ke ilhād ke sivā kyā hai
hamārā nām-o-nasab pūchhne se kyā hāsil
misāl-e-āba-o-ajdād ke sivā kyā hai
ye aarzū hai ki ta.amīr ho makāñ 'rizvān'
abhī zamīn pe buniyād ke sivā kyā hai