Rizwanur Raza Rizwan

tha nigahon mein basaya jaane kis taswir ko

Rizwanur Raza Rizwan

Basti, Uttar pradesh, India

1973
thā nigāhoñ meñ basāyā jaane kis tasvīr ko
dekh kar hairān haiñ ab ḳhvāb kī ta.abīr ko
us ne dil kī dhaḌkaneñ sun kar shab-e-tārīk meñ
kar liyā mahsūs mere nāla-e-shab-gīr ko
kaisā qātil thā mirā shauq-e-shahādat dekh kar
rakh diyā zālim ne apne haath se shamshīr ko
daf.atan ḳhud us kā chehra bhī kitābī ho gayā
mere ruḳh par paḌh liyā hai jaane kis tahrīr ko
dasht-o-sahrā se guzarne kā hunar ma.alūm hai
kaaT de koī hamāre paañv kī zanjīr ko
maiñ ne maanā khel sab taqdīr hī kā hai magar
har ghaḌī 'rizvān' rakh pesh-e-nazar tadbīr ko
Top Urdushayar.com