koī ḳhvāb thā jo bikhar gayā koī dard thā jo Thahar gayā
magar is kā koī bhī ġham nahīñ jo guzar gayā so guzar gayā
ye dil-o-nazar kā mo.āmla bhī bahut ajīb-o-ġharīb hai
kabhī in laboñ pe hañsī rahī kabhī ashk aañkh meñ bhar gayā
maiñ zabāñ se kuchh bhī na kah sakā vo nazar se kuchh na samajh sakā
na mire hī dil se jhijak ga.ī na to us ke dil se hī Dar gayā
kabhī tujh se bhī na sambhal sakā kabhī mujh se bhī na sambhal sakā
tirā aa.ina bhī bikhar gayā mirā aa.ina bhī bikhar gayā
tujhe hogā us kā malāl kyā mujhe hogā us kā ḳhayāl kyā
tire husn se bhī kashish ga.ī mire ishq se bhī asar gayā
vo hasīn chehroñ kī bhiiḌ thī ki nazar bhaTaktī hī rah ga.ī
tirī justujū kā nasha thā jo kisī moḌ par vo utar gayā
ye jo rañg-e-fikr-o-ḳhayāl hai ye tirī nazar kā kamāl hai
tirā husn thā koī aa.ina jise dekh kar maiñ sañvar gayā