Nazeer Qaisar

tujhko likhna hai to aisa koi safha likh de

Nazeer Qaisar

1945
tujh ko likhnā hai to aisā koī saf.ha likh de
jāgte lafzoñ meñ ḳhvāboñ kā sarāpā likh de
pahle jo shakl nahīñ dekhī thī vo sāmne lā
pahle jo naam kitāboñ meñ nahīñ thā likh de
gumbad-e-shab meñ mah-o-najm sajāne vaale
un galī kūchoñ kī qismat meñ darīcha likh de
in likhe lafzoñ meñ likh muzhda na.e mausam kā
kahīñ mahtāb kahīñ gul kahīñ chehra likh de
zard shāḳhoñ meñ na.ī koñpleñ likhne vaale
peḌ se TūTte pattoñ kā bhī nauha likh de
yuuñ bhī tartīb de qissa kabhī fasl-e-gul kā
baaġh meñ sham.a jalā taaq meñ sabza likh de
khīñch de ḳhat na.ī sub.hoñ ke ufuq-tā-ba-ufuq
ḳhāk-tīro ke muqaddar meñ ujālā likh de
khol de āñkhoñ pe darvāza-e-hairat 'qaisar'
harf-e-pinhāñ ke ma.ānī sar-e-parda likh de
Top Urdushayar.com