Nazeer Qaisar

gharon mein sabza chhaton par gul-e-sahab liye

Nazeer Qaisar

1945
gharoñ meñ sabza chhatoñ par gul-e-sahāb liye
havā.eñ phail ga.iiñ naqsh-o-rañg-e-āb liye
shab-e-siyāh Dhalī sub.h āshkār huī
jabīñ pe zaḳhm liye haath meñ gulāb liye
maiñ ek Dhaltā sā saayā zamīñ ke qadmoñ meñ
tū DhūñDne mujhe niklā hai āftāb liye
guzar gayā koī pahchāntā huā mujh ko
purānī yādoñ kī sham.eñ pas-e-naqāb liye
bikhar ke jaatā kahāñ tak ki maiñ to ḳhushbū thā
havā chalī thī mujhe apne ham-rikāb liye
ubhar rahe haiñ ka.ī haath shab ke parde se
koī sitāra liye koī māhtāb liye
havā.eñ phirtī haiñ rastoñ meñ baal khole hue
ye raat sar pe khaḌī hai koī azaab liye
ajab nahīñ kahīñ ta.abīr koī mil jaa.e
bhaTak rahā huuñ girah meñ hujūm-e-ḳhvāb liye
Top Urdushayar.com