Nazeer Qaisar

dil-tang hun makan ke andar paDa hua

Nazeer Qaisar

1945
dil-tañg huuñ makān ke andar paḌā huā
bāhar abad kā qufl hai dar par paḌā huā
mujh par garāñ guzartī hai merī sadā kī guuñj
chup huuñ durūn-e-gumbad-e-be-dar paḌā huā
mumkin jo ho to ek nazar muḌ ke dekh le
ik naqsh hai zamīn pe miT kar paḌā huā
maiñ hī nahīñ huuñ din ke bagūle ke saath saath
sūraj ke paañv meñ bhī hai chakkar paḌā huā
khul hī ga.ī hai aañkh to āvāz de ke dekh
ḳhāmosh kyuuñ hai shab kā samundar paḌā huā
baiThā huā huuñ chhup ke havā ke hisār meñ
har-samt hai ġhanīm kā lashkar paḌā huā
mujh ko havā.eñ chalne se pahle sameT lo
maiñ rahguzār meñ huuñ bikhar kar paḌā huā
jaise ho koī mere ta.āqub meñ rāt-din
apne vajūd kā hai mujhe Dar paḌā huā
maiñ chhuptā phir rahā huuñ ḳhud apnī hī zaat se
'qaisar' mirā azaab hai mujh par paḌā huā
Top Urdushayar.com