Nazeer Qaisar

kaun hun kyun zinda hun sochta rahta hun

Nazeer Qaisar

1945
kaun huuñ kyuuñ zinda huuñ sochtā rahtā huuñ
ḳhvāboñ kī duniyā meñ jāgtā rahtā huuñ
rañg aur ḳhushbū se dhundlā.e rastoñ meñ
havā kī uñglī thaam ke chaltā rahtā huuñ
āvāzoñ kī gaThrī sar pe uThā.e hue
ḳhāmoshī ke ziine chaḌhtā rahtā huuñ
jahāñ se mere jism ko ik din ugnā hai
maiñ us bāñjh zamīn ko DhūñDhtā rahtā huuñ
āñkhoñ kī uryānī se chhupne ke liye
na.e na.e malbūs pahantā rahtā huuñ
sub.h-o-shām havā kī andhī lahroñ meñ
zarra zarra ho ke bikhartā rahtā huuñ
soī huī rāhoñ meñ tanhā chāñd ke saath
saarī saarī raat bhaTaktā rahtā huuñ
lauh-e-jahāñ par bantī bigaḌtī tahrīreñ
dekhtā rahtā huuñ aur sochtā rahtā huuñ
jism-o-jāñ kī dhuup se jalte sahrā meñ
apnā saaya oḌh ke chaltā rahtā huuñ
Top Urdushayar.com