galiyāñ udaas khiḌkiyāñ chup dar khule hue
uktā gayā huuñ maiñ to ye sab dekhte hue
hāthoñ pe likh ke chūmtā rahtā huuñ us kā naam
muddat guzar ga.ī hai jise ḳhat likhe hue
ḳhushbū-o-rañg āb-o-havā sāz-o-ḳhāmushī
kyā qāfile haiñ dasht-e-ḳhalā meñ ruke hue
kuchh pūchhtī haiñ peḌoñ kī sarsabz Tahniyāñ
kuchh kah rahe haiñ raah meñ patte gire hue
hāthoñ meñ le ke chaltā huuñ āñkhoñ kī mish.aleñ
har samt haiñ fazāoñ meñ chehre bane hue
muhtāj-e-abr-o-bād hue ahl-e-ḳhāk-dāñ
har chand is zamīñ meñ the dariyā chhupe hue
ai māvarā-e-fikr ab āvāz de ki ham
ḳhud se bichhaḌ ga.e haiñ tujhe DhūñDte hue