Nazeer Qaisar

kabhi hans kar kabhi aansu baha kar dekh leta hun

Nazeer Qaisar

1945
kabhī hañs kar kabhī aañsū bahā kar dekh letā huuñ
maiñ har chehre ko ā.īna dikhā kar dekh letā huuñ
bahut bechain kar detī haiñ jab tanhā.iyāñ ghar kī
dar-o-dīvār par shakleñ banā kar dekh letā huuñ
chhupātā hai bahut mujh ko mirā saaya magar phir bhī
maiñ ḳhud ko raushnī se duur jā kar dekh letā huuñ
nazar aatā nahīñ jab harf koī lauh-e-ālam par
maiñ apnā naam likh kar aur miTā kar dekh letā huuñ
jise dekhā nahīñ hai dekh kar bhī merī āñkhoñ ne
maiñ us ko apne ḳhvāboñ meñ sajā kar dekh letā huuñ
nahīñ miltā kahīñ jab apnī hastī kā nishāñ mujh ko
maiñ apnā aks paanī meñ bahā kar dekh letā huuñ
jise dekhā nahīñ rotā huuñ us kī yaad meñ shab-bhar
jise paayā nahīñ us ko gañvā kar dekh letā huuñ
kabhī karnā ho andāza jab apne dard kā mujh ko
maiñ us bedard ke dil ko dukhā kar dekh letā huuñ
pahan letī haiñ jab shāḳheñ hare mausam ke pairāhan
koī TuuTā huā pattā uThā kar dekh letā huuñ
Top Urdushayar.com