āñkheñ kis kā khoj lagātī rahtī haiñ
shakleñ apnā aap chhupātī rahtī haiñ
aane vaale dinoñ kī dhundlī tasvīreñ
ga.e dinoñ ke ḳhvāb dikhātī rahtī haiñ
mausam ke rūdād raqam karne ke liye
shāḳheñ apne haath kaTātī rahtī haiñ
miTTī kyuuñ rañgoñ ko zāhir kartī hai
ḳhushbūeñ kyuuñ ḳhaak uḌātī rahtī haiñ
kaun havā.eñ haiñ jo lauh-e-ālam par
āñkheñ chehra haath banātī rahtī haiñ
tanhā.ī meñ ḳhāmoshī kī āvāzeñ
mujh ko merā naam batātī rahtī haiñ
saarī raat galī ke ḳhālī nukkaḌ par
tez havā.eñ lamp hilātī rahtī haiñ