shāḳh meñ sabza dhuup meñ saaya vāpas aayā
raat ko chhū kar din kā jhoñkā vāpas aayā
lahr ne kise sadā dī duurī ke sāhil se
kashtī vāpas aa.ī dariyā vāpas aayā
buuñd girī thī jalte mausam ke hoñToñ par
aañkh meñ aañsū dil meñ sho.ala vāpas aayā
kitne dinoñ ke ba.ad shajar ne chhatrī kholī
kitne dinoñ meñ din bārish kā vāpas aayā
āñkheñ rakh diiñ us ne ghar ke darvāze par
shaam huī aur ḳhālī rasta vāpas aayā
haath meñ diyā liye vo chhat par vāpas aa.ī
us ke saath havā kā jhoñkā vāpas aayā
khiḌkī khol ke maiñ ne use pukārā 'qaisar'
ek parinda ek sitārā vāpas aayā