Nazeer Qaisar

miTTi pe koi naqsh bhi ubhra na rahega

Nazeer Qaisar

1945
miTTī pe koī naqsh bhī ubhrā na rahegā
gir jā.egī dīvār to saaya na rahegā
aa.egā nazar dhuup meñ chhat par vo khule sar
galiyoñ meñ ye rātoñ kā nikalnā na rahegā
shāḳhoñ se numū pattoñ se chhin jā.egī ḳhushbū
kaT jā.egā jab peḌ to kyā kyā na rahegā
sochūñ to koī lafz milegā na tire naam
likkhūñgā to kāġhaz koī saada na rahegā
bikhre hue chehroñ meñ khaḌā soch rahā huuñ
āñkheñ na raheñgī ki tamāshā na rahegā
miT jā.ūñgā likhte hue rūdād shab-o-roz
jab maiñ na rahūñgā mirā afsāna rahegā
kho jā.egī ḳhāmoshī meñ āvāz-e-jaras bhī
rāhoñ meñ kahīñ naqsh-e-kaf-e-pā na rahegā
aage bhī dikhā.ī nahīñ degī koī manzil
aur ghar ko palaTne kā bhī rasta na rahegā
maiñ harf huuñ likh lo mujhe āvāz huuñ sun lo
aate haiñ vo din jab koī mujh sā na rahegā
Top Urdushayar.com