merī āñkhoñ ko mirī shakl dikhā de koī
kaash mujh ko mirā ehsās dilā de koī
ġharaz is se nahīñ vo kaun hai kis bhes meñ hai
maiñ kahāñ par huuñ mujhe merā patā de koī
DhūñDhtā phirtā huuñ yuuñ apne hī qadmoñ ke nishāñ
jaise mujh ko mirī nazroñ se chhupā de koī
dil kī taḳhtī sar-e-bāzār liye phirtā huuñ
kaash is par tirī tasvīr banā de koī
yuuñ tujhe dekh ke chauñk uThtī haiñ soī yādeñ
jaise sannāTe meñ āvāz lagā de koī
dūsrī samt haiñ ḳhushbū ke ufuq kī sub.heñ
rañg ke kohar kī dīvār girā de koī
saañs roke hue baiThe haiñ makānoñ meñ makīñ
jaane kab aur kise aa ke sadā de koī