tañg huī jaatī hai zamīñ insānoñ par
kaash koī hal pher de qabristānoñ par
ab khetoñ meñ kuchh bhī nahīñ paanī ke sivā
ye kaisī rahmat barsī dahqānoñ par
kabhī kabhī tanhā.ī meñ yuuñ lagtā hai
jaise kisī kā haath hai mere shānoñ par
maiñ vo pichhle pahar kī havā kā jhoñkā huuñ
dastak detā phire jo band makānoñ par
kabhī to chaah milegī aatī sadiyoñ kī
kaan dhare baiThā huuñ ga.e zamānoñ par