Nazeer Qaisar

dua ka phul paDa rah gaya hai thaali mein

Nazeer Qaisar

1945
duā kā phuul paḌā rah gayā hai thālī meñ
havā use bhī uḌā de na be-ḳhayālī meñ
vo mujh se maañg rahā hai mujhe mirī ḳhātir
maiñ ḳhud ko Daal na duuñ kāsa-e-savālī meñ
bas ek mauja-e-bād-e-bahār guzrī thī
piro ga.ī hai mirā jism Daalī Daalī meñ
bikhartā jaatā hai kamre meñ cigaretoñ kā dhuāñ
paḌā hai ḳhvāb koī chaa.e kī pyālī meñ
diye ke sāmne vo sar jhukā.e baiThī hai
chamak rahī hai mirī raat us kī baalī meñ
Top Urdushayar.com