maiñ raakh hotā gayā aur charāġh jaltā rahā
charāġh jaltā rahā āsmāñ pighaltā rahā
maiñ buuñd buuñd jalā vasl ke kināre par
vo lahar lahar badan karvaTeñ badaltā rahā
lagī thī aag daraḳhtoñ ke paar dariyā meñ
maiñ dekhtā rahā aur āftāb Dhaltā rahā
bas ek shaam sar-e-dasht-e-karbalā utrī
phir us ke ba.ad gharoñ se alam nikaltā rahā
gulāb bahtā rahā ḳhvāhishoñ ke paanī meñ
havā.eñ chaltī rahīñ aur diyā machaltā rahā
ajab safar thā mire us ke darmiyāñ 'qaisar'
ġhubār uḌtā rahā aur sitārā chaltā rahā