har naqsh hai vajūd-e-fanā mere sāmne
hairān huuñ ye rañg hai kyā mere sāmne
ik shakl sī hai merī tarah mere rū-ba-rū
ik harf sā hai mere sivā mere sāmne
gum-sum khaḌī hai merī sadā mere ās-pās
dīvār ban ga.ī hai havā mere sāmne
khultā nahīñ ki ā.īna-e-kā.enāt meñ
kyā hai misāl-e-aks-e-navā mere sāmne
jañgal kā vo safar bhī mubārak huā mujhe
jab chal rahā thā merā ḳhudā mere sāmne
ik ajnabī sadā sī ta.āqub meñ thī mire
dekhā jo muḌ ke kuchh bhī na thā mire sāmne
ab sochtā huuñ bikhrā huā dasht-e-ḳhāk meñ
ye kaun mujh ko toḌ gayā mere sāmne
'qaisar' huā thā sāmnā ik shakl se mirā
phir us ke ba.ad kuchh na rahā mere sāmne