Nazeer Qaisar

kaisa tara TuTa mujh mein

Nazeer Qaisar

1945
kaisā taarā TuuTā mujh meñ
jhāñk rahī hai duniyā mujh meñ
koī purānā shahr hai jis kā
khultā hai darvāza mujh meñ
diyā jalā ke chhoḌ gayā hai
koī apnā saayā mujh meñ
band huī jaatī haiñ āñkheñ
kaisā manzar jaagā mujh meñ
āvāzeñ detā hai mujh ko
koī 'mīr' ke jaisā mujh meñ
koī mujh ko DhūñDhne vaalā
bhuul gayā hai rasta mujh meñ
ḳhālī thī gul-dān meñ Tahnī
khilā huā thā sho.ala mujh meñ
baras rahī thī bārish bāhar
aur vo bhiig rahā thā mujh meñ
uḌtā rahtā hai rātoñ ko
'qaisar' koī parinda mujh meñ
Top Urdushayar.com