chashm-e-junūñ meñ husn-e-salāsil hai be-qarār
kis kī galī meñ jashn-e-garebāñ manā.eñ ham
shāyad kisī kā haath baḌhe ban ke mudda.ī
ilzām kī talāsh meñ dāman sajā.eñ ham
rauzan banegā dīda-e-yāqūb ek din
apne liye ḳhud aap hī zindāñ banā.eñ ham
chhupne lagī hai ziist añdheroñ kī god meñ
aao to phir charāġh-e-havādis jalā.eñ ham
shahr-e-tarab meñ milte haiñ apne bhī naqsh-e-pā
aa.e na gar yaqīn to aao dikhā.eñ ham
jalve hī Das rahe haiñ shu.ūr-e-jamāl ko
kis ko hadīs-e-vādī-e-aiman sunā.eñ ham
dasht-e-talab ke ḳhaar bhī dil meñ chubhoiye
phir kaise lab pe harf-e-taqāzā na laa.eñ ham
uryāñ kiyā salīb ne ham ko bhī apne saath
sochā thā āsmān-e-chahārum pe jaa.eñ ham
phir garm ret uḌ ke chalī bastiyoñ kī samt
mahmil-nashīñ ko DhūñDh ke sahrā meñ laa.eñ ham
zahrāb ban chukā hai ye ehsās-e-āgahī
ab kis ko baḳht dard kā darmāñ banā.eñ ham