jahāñ jahāñ hai sahar kā aalam vahīñ vahīñ raushnī nahīñ hai
hazār sham.eñ huiiñ haiñ raushan magar kahīñ raushnī nahīñ hai
na mujh ko bahkāo in ujāloñ kī mehr-afroz rañgtoñ se
fareb hai ye kisī kiran kā nahīñ nahīñ raushnī nahīñ hai
hamārā zauq-e-nigāh ab tak hai gumrahī kī naqāb oḌhe
ajab tamāshā hai tere jalvoñ meñ mah-jabīñ raushnī nahīñ hai
jahāñ pe sūraj chamak rahā hai vahīñ pe zulmat baras rahī hai
maiñ kyuuñ na zulmat se pyaar kar luuñ ki dil-nashīñ raushnī nahīñ hai
na.e ujāle udaas rūheñ na.e savere bujhe hue haiñ
ye ek dhokā hai raushnī kā dil-e-hazīñ raushnī nahīñ hai
charāġh-e-ḳhufta charāġh-e-raushan se jagmagātā rahā hamesha
maqām-e-hastī ke in añdheroñ pe ḳhashmagīñ raushnī nahīñ hai
baḌhe haiñ manzil kī samt ham bhī shuā-e-'baḳht'-e-jamīl le kar
hameñ taraddud nahīñ hai koī agar kahīñ raushnī nahīñ hai