Pawan Kumar

kya zindagi ne rakkhi saughat mere haq mein

Pawan Kumar

kyā zindagī ne rakkhī sauġhāt mere haq meñ
har jiit us ko hāsil har maat mere haq meñ
taqsīm ho gayā hai donoñ meñ ek rahbar
ik haath us ke hisse ik haat mere haq meñ
muddat se nam hai dāman āḳhir dikhā.eñ kis ko
ik roz ho ga.ī thī barsāt mere haq meñ
haiñ raunaqeñ kahīñ to bedāriyāñ kahīñ haiñ
jo raat us ke haq meñ vo raat mere haq meñ
yuuñ mushtarak the ham sab har fard thā masāvī
phir bhī haiñ saare mushkil hālāt mere haq meñ
kyā ḳhuub hai tumhārā ye mansab-e-saḳhāvat
sab iltifāt ḳhud par zulmāt mere haq meñ
lāzim hai naġhmagī bhī goyā.ī bhī zarūrī
likhtī hai ab ḳhamoshī naġhmāt mere haq meñ
Top Urdushayar.com